Nazar Nazar
Fida
Lyrics
Nazar nazar dhoonde usse meri nazar
Aayegi ek din woh mere saamne
Uski ada ne mujhko aashiq banake chhoda
Aake meri neendon mein khwaabon se rishta joda
Na usko pata hai, na usko khabar hai
Main uspe fida is kadar
Nazar nazar dhoonde usse meri nazar
Aayegi ek din woh mere saamne
Na na, pehle kabhi na aisa hua tha joh ab hua
Jaana jaan-e-tamanna maine na jaana kya kab hua
Mere dil pe dilbar joh chaaya junoon hai
Tere ishq ka hai asar
Nazar nazar dhoonde usse meri nazar
Aayegi ek din woh mere saamne
Usne dekhi na hogi aisi anokhi deewangi
Haasil usko karegi ek din yeh meri aawaargi
Dekhi na aisi mohabbat, dekha na aisa deewana
Teri jawan dhadkano mein ab toh hai mera thikana
Kabhi na kabhi toh, kahin na kahin toh
Milegi woh jaan-e-jigar
Nazar nazar
Nazar nazar
Dhoonde usse
Dhoonde mujhe
Meri nazar
Teri nazar
Aayegi ek din woh mere saamne
Uski ada ne mujhko aashiq banake chhoda
Aake meri neendon mein khwaabon se rishta joda
Na usko pata hai, na usko khabar hai
Main uspe fida is kadar
Nazar nazar dhoonde usse meri nazar
Aayegi ek din woh mere saamne
Watch Video