Lyric4U
Nazar Mein Tu

Andolan

Watch Video
Lyrics
Nazar mein tu, jigar mein tu
Jahan dekhon wahan hai tu
Nazar mein tu, jigar mein tu
Jahan dekhon wahan hai tu
Tujhe apna banaya hai
Tune dil mera churaya hai
Tune dil mera churaya hai
Nazar mein tu, jigar mein tu
Jahan dekhon wahan hai tu
Nazar mein tu, jigar mein tu
Jahan dekhon wahan hai tu
Tu hi dil mein samaya ha
Tune dil mera churaya hai
Tune dil mera churaya hai
Meri saanson mein tu, mere honthon pe tu
Meri dhadkan tu hai jaan-e-jaana
Meri neendon mein tu, mere khwabon mein tu
Main hoon teri adaon ka deewana
Sharam ki yeh jalti shamma bujha doon
Shamma keh rahi hai ke doori mita doon
Wafa mein tu, ada mein tu
Zubaan pe tu, sada mein tu
Wafa mein tu, ada mein tu
Zubaan pe tu, sada mein tu
Tujhe apna banaya hai
Tune dil mera churaya hai
Tune dil mera churaya hai
Teri palakon tale mera waqt dhale
Lagja tu gale, tadpa na
Madhosh samaa, do dil hai jawaan
Ab hosh kahan meri jaana
Yeh kaisa asar hai, yeh kya bekhudi hai
Chingari koi badan mein dabi hai
Yaadon mein tu, vaadon mein tu
Raaton mein tu, baaton mein tu
Yaadon mein tu, vaadon mein tu
Raaton mein tu, baaton mein tu
Tu hi dil mein samaya ha
Tune dil mera churaya hai
Tune dil mera churaya hai
Nazar mein tu, jigar mein tu
Jahan dekhon wahan hai tu
Nazar mein tu, jigar mein tu
Jahan dekhon wahan hai tu
Tujhe apna banaya hai
Tune dil mera churaya hai
Tune dil mera churaya hai
Watch Video