My Love Meri Priyatama
Love
Lyrics
My love meri priyatama
Maggi meri priyatama
Kal tak tha main kaliyon ki dhool
Tune kiya aasmaan
Ehsaan ka tere yeh hai kamaal
Ke ho gaya aaj main bemisaal
Patthar tha main
Tere pyar ne patthar mein dali hai jaan
Daaman mera aanchal tera, aise bandhe taqdeer se
Khulte nahi saaton janam ab yeh kisi tadbeer se
Ab kaun humko karega juda
Ke pyar hai aap apna khuda
Chahat toh bas jeena jaane
Marna kya hai yeh kya jaane
Tu gham na kar meri jaan
Ehsaan ka tere yeh hai kamaal
Ke ho gaya aaj main bemisaal
Patthar tha main
Tere pyar ne patthar mein dali hai jaan
Mere liye mukh pe kabhi uljhe se baal bikhre nahin
Varna is andhiyare mein kho jaunga phir main kahin
Aansun ki ek boond teri kasam
Mujhko na hogi samundar se kam
Uski lehron mein phir jaanam
Doobe gaaye sara aalam
Main bhi bachunga kahan
Ehsaan ka tere yeh hai kamaal
Ke ho gaya aaj main bemisaal
Patthar tha main
Tere pyar ne patthar mein dali hai jaan
My love meri priyatama
Maggi meri priyatama
Patthar tha main
Tere pyar ne patthar mein dali hai jaan
Watch Video