Muskaanein Jhooti Hai
Talaash
Lyrics
Raat mein hi jaagte hai yeh gunaahon ke ghar
Inki raahein khole baahein joh bhi aaye idhar
Aa haa o o ... aa haa o o
Yeh hai gumrahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchaanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhayi
Kal inhi galiyon mein
In masli kaliyon mein toh yeh dhoom thi
Joh rooh pyaasi hai
Jis mein udaasi hai woh hai ghoomti
Sabko talaash wohi
Samjhe yeh kaash koi
Aa haa o o ... aa haa o o
Yeh hai gumrahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchaanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhayi
Halke ujaalon mein
Halke andheron mein joh ik raaz hai
Kyun kho gaya hai woh
Kya ho gaya hai ki woh naraaz hai
Ae raat itna bata
Tujhko toh hoga pata
Aa haa o o ... aa haa o o
Yeh hai gumrahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchaanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhayi
Muskaanein jhooti hai
Pehchaanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhayi
Watch Video