Lyric4U
Mujhe Teri Mohabbat Ka Sahara

Aap Aye Bahaar Ayee

Watch Video
Lyrics
Dilshad tha ke phool khilenge bahaar mein
Maara gaya gareeb issi aitbaar mein
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

Na tha manzoor kismat ko, na thi marzi bahaaro ki
Nahi toh is gulistan mein
Nahi toh is gulistan mein kami thi kya nazaro ki
Meri nazron ko bhi koi nazara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Khushi se apni aankhon ko main ashqo se bhigo leta
Mere badle tu has legi
Mere badle tu has legi, tere badle main roh leta
Mujhe ae kaash tera dard saara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mili hai chandni jinko yeh unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se faqat itni shikayat hai
Mujhe toota hua koi sitara mil gaya hota