Mujhe Naulakha Manga De
Sharaabi
Lyrics
Ang ang tera rang rachake aisa karoon singaar
Jab jab jhanjhar jhankaun main khanke mann ke taar
Mujhe naulakha manga de re, o saiyan deewane
Mujhe naulakha manga de re, o saiyan deewane
Maathe pe jhumar, kaanon mein jhumka
Paaon mein payalia, haathon mein ho kangana
Mujhe naulakha manga de re, o saiyan deewane
Tujhe mein, tujhe mein
Tujhe gale se laga loongi, o saiyan deewane
Mujhe angia sila de re, o saiyan deewane
Tujhe mein, tujhe mein
Tujhe seene se laga loongi, o saiyan deewane
Mujhe naulakha manga de re, o saiyan deewane
(Sargam)
Salma sitaaron ki jhilmil chunariya
Aaon pehenke toh phisle nazariya
Mujhko sajade balma
Sajade, mujhko sajade balma
Gori kunwari yeh kamsin umariya
Tere liye naache sajke sawariya
Laali manga de sajna
Suraj se laali manga de sajna
Tujhe mein, tujhe mein
Tujhe hothon se laga loongi, o saiyan deewane
Tujhe hothon se laga loongi, o saiyan deewane
Mujhe naulakha manga de re, o saiyan deewane
Main toh sari umariya lutaye baithi
Balma do aakhiyon ki shararat mein
Main toh janamon ka sapna sajaye baithi
Sajna khoke teri mohabbat mein
Maana re maana yeh ab maine maana
Hota hai kya saiyan dil ka lagana
Roke yeh duniya ya roothe zamana
Jaana hai mujhko sajan ghar jaana
O jaise gajra hase, jaise gajra hase
O jaise gajra hase, jaise gajra hase
Waise aakhiyon mein tum muskurana
O kirono se yeh maang meri sajade
Poonam ki chanda ki bindiya manga de
Tujhe mein, tujhe mein
Tujhe maathe pe saja loongi, o saiyan deewane
Tujhe maathe pe saja loongi, o saiyan deewane
Maathe pe jhumar, kaanon mein jhumka
Paaon mein payalia, haathon mein ho kangana
Mujhe naulakha manga de re, o saiyan deewane
Tere kadamon pe chalka doongi main sare maikhane
Log kehte hai main sharaabi hoon
Log kehte hai main sharaabi hoon
Tumne bhi shayad yehi soch liya haan
Log kehte hai main sharaabi hoon
Kisi pe husn ka guroor jawaani ka nasha
Kisi ke dil pe mohabbat ki ravaani ka nasha
Kisi ko dekh ke saanson se ubharta hai nasha
Bina peeye bhi kahin hadh se guzarta hai nasha
Nashe mein kaun nahin hai mujhe batao zara
Kise hai hosh mere samne toh lao toh zara
Nasha hai sab pe magar rang nashe ka hai juda
Khili khili hui subah pe hai shabnam ka nasha
Hawa pe khushboo ka badal se hai rimjhim ka nasha
Kahin suroor hai khushiyon ka kahin gham ka nasha
Nasha sharaab mein hota toh naachti botal
Maikhade jhoomte paimaano mein hoti hulchul
Nasha sharaab mein hota toh naachti botal
Nashe mein kaun nahin hai mujhe batao zara
Nashe mein kaun nahin hai mujhe batao zara
Log kehte hai main sharaabi hoon
Log kehte hai main sharaabi hoon
Tumne bhi shayad yehi soch liya haan
Log kehte hai main sharaabi hoon
Thodi aankhon se pila de re sajni deewani
Thodi aankhon se pila de re sajni deewani
Tujhe main, tujhe main
Tujhe saanson mein basa loonga sajni deewani
Tujhe naulakha manga doonga sajni deewani
Tujhe naulakha manga doonga sajni deewani
Watch Video