Mujhe Ishq Se
Yaariyan
Lyrics
Mujhe ishq se rehna tha door
Gham iske bade joh hai mashoor
Par yeh dil hai ki bilkul mana nahi
Mujhe kheench kar dekho le aaya wahin
Jahaan ishq hai, bas ishq hai
Haan ishq hai, bas ishq hai
Yaariyan ve ... yaariyan ve
Is dard-e-dil ki sifarish
Ab karde koi yahaan
Ki mil jaaye isse woh baarish
Joh bhigaa de poori tarah
Is dard-e-dil ki sifarish
Ab karde koi yahaan
Ki mil jaaye isse woh baarish
Joh bhigaa de poori tarah
Tu joh mila
Toh zindagi hai badli
Main poori nayi ho gayi
Hai beasar duniya ki baatein badi
Ab teri sunnu main sadaa
Milne ko tujh se bahane karoon
Tu muskuraye wajah main banoon
Roz bitana saath mein tere sara din mera
Is dard-e-dil ki sifarish
Ab karde koi yahaan
Ki mil jaaye isse woh baarish
Joh bhigaa de poori tarah
Is dard-e-dil ki sifarish
Ab karde koi yahaan
Ki mil jaaye isse woh baarish
Joh bhigaa de poori tarah
Kya hua asar tere saath rehkar na jaane
Ki hosh mujhe na raha
Lafz mere the zubaan pe aake ruke
Par ho na sake woh bayaan
Dhadkan tera hi naam joh le
Aankhen bhi paighaam yeh de
Teri nazar ka hi yeh asar hai
Mujh pe joh hua
Is dard-e-dil ki sifarish
Ab karde koi yahaan
Ki mil jaaye isse woh baarish
Joh bhigaa de poori tarah
Is dard-e-dil ki sifarish
Ab karde koi yahaan
Ki mil jaaye isse woh baarish
Joh bhigaa de poori tarah
Watch Video