Mujhe Duniya Walo Sharabi Na Samjho
Leader
Lyrics
Mujhe duniya walo sharabi na samjho
Main peeta nahi hoon, pilayi gayi hai
Jahan bekhudi mein kadam ladkhadaye
Wohi raah mujhko dikhayi gayi hai
Nashe mein hoon lekin mujhe yeh khabar hai
Ke is zindagi mein sabhi pee rahe hai
Kisi ko mile hai chalakte pyaale
Kisi ko nazar se pilayi gayi hai
Mujhe duniya walo sharabi na samjho
Main peeta nahi hoon, pilayi gayi hai
Kisi ko nasha hai jaam-e-khushi ka
Kisi ko nasha hai gham-e-zindagi ka
Koi pee raha hai lahu aadmi ka
Har ek dil mein masti rachayi gayi hai
Mujhe duniya walo sharabi na samjho
Main peeta nahi hoon, pilayi gayi hai
Zamane ke yaaron chalan hai nirale
Yahan tann hai ujhle magar dil hai kaale
Yeh duniya hai duniya yahan maal-o-zar mein
Dilon ki kharabi chupayi gayi hai
Mujhe duniya walo sharabi na samjho
Main peeta nahi hoon, pilayi gayi hai
Jahan bekhudi mein kadam ladkhadaye
Wohi raah mujhko dikhayi gayi hai
Watch Video