Lyric4U
Meri Maa (Reprise)

Yaariyan

Watch Video
Lyrics
Jab chot kabhi mere lag jaati thi
Toh aankh teri bhi toh bhar aati thi
Maa o maa!
Jab chot kabhi mere lag jaati thi
Toh aankh teri bhi toh bhar aati thi
Ek chhoti si phoonk se teri
Sabhi dard mere hote the gum
Aaj bhi koi chot lage toh
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare toh
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Maa ... meri maa ... meri maa
Teri baaton mein
Apni har ek main
Uljhan ka hal paa leta tha
Tere haathon ki
Roti aksar hi
Bhookh se zyada kha leta tha
Tera hissa main
Tera qissa main
Joh sabko sunaati ho tum
Aaj bhi meri baat chale toh
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare toh
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Meri maa ... meri maa ... maa
Haaron ya jeeton
Mujhko tu apna
Raja beta hi kehti thi
Meri galti ko
Apni kehkar tu
Daant bhi baba ki sehti thi
Tera dena maa
De na paon main
Raah ab bhi dikhati ho tum
Aaj bhi koi atkan ho toh
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare toh
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Maa ... o meri maa ... meri maa
Meri maa ... meri maa ... meri maa
Watch Video