Mere Paas Aao Mere Doston
Mr. Natwarlal
Lyrics
Aao bachon aaj tumhe ek kahani sunata hoon main
Sher ki kahani sunoge
Mere paas aao mere doston ek kissa suno
Mere paas aao mere doston ek kissa suno
Kayi saal pehle ki yeh baat hai
Bolo na, chup kyun ho gaye
Bhayanak andheri si raat mein
Liye apni bandook main haath mein
Ghane jangalon se guzarta hua kahin ja raha tha
Ghane jangalon se guzarta hua kahin ja raha tha
Ja raha tha
Nahi aa raha tha
Nahi ja raha tha
Uff o, aage bhi toh bolo na
Batata hoon, batata hoon
Nahi bhoolti uff woh jungle ki raat
Mujhe yaad hai woh thi mangal ki raat
Chala ja raha tha main darta hua
Hanuman chalisa padhta hua
Bolo Hanuman ki jai
Jai jai Bajrangbali ki jai
Haan bolo Hanuman ki jai
Jai ho Bajrangbali ki jai
Ghadi thi andhera magar sakt tha
Koi das savah das ka bas waqt tha
Larazta tha koyal ki bhi kook se
Bura haal hua uspe bhookh se
Laga todne ek beri se ber
Mere saamne aa gaya ek sher
Koi phirki banke nazar phir gayi
Toh bandook bhi haath se gir gayi
Main lapka, woh jhapka
Main upar, woh neeche
Woh aage, main peeche
Main ped pe, woh peeche
Arre bachao, arre bachao
Main daal daal, woh paat paat
Main paseena, woh baag baag
Main sur mein, woh taal mein
Yeh jungle pataal mein
Bachao, bachao
Arre bhaago re bhaago, arre bhaago
Phir kya hua
Khuda ki kasam maza aa gaya
Mujhe maar kar besharam kha gaya
Kha gaya, lekin aap toh zinda hai
Arre yeh jeena bhi koi jeena hai lallu
Watch Video