Lyric4U
Mera Yaar Dildaar

Jaanwar

Watch Video
Lyrics
Maathe pe chamke iske suraj ki laali
Hothon se chhalke dekho masti ki pyaali
Balkhaye aise jaise champa ki daali
Iski adayein saare jag se niraali
Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhun baar baar isko
Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhun baar baar isko
Kirne lutaye dekho chaaro dishayein
Khushboo ka jhaunka leke aaye hawayein
Chahat ke rangon se hai rangeen fizayein
Saare jahaan se kehti meri nigahein
Mera yaar dildaar bada sona
Main de doon sara pyar isko
Mera yaar dildaar bada sona
Main de doon sara pyar isko
Maahi mera maahi meri jind meri jaan ve
Teri is ada pe ho gaya main kurbaan oye
Maahi mera maahi meri jind meri jaan ve
Teri is ada pe ho gaya main kurbaan oye
Gore gore rang iske neele neele naina
Dekhe bin ab toh kahin aaye nahi chaina
Haaye resham jaise ang iske gesu jaise baadal
Dil ko deewana kare dhaani dhaani aanchal
Shokh bahaaro si lagti hai iski har angdaai
O mera yaar dildaar bada sona
Main de doon sara pyar isko
O mera yaar dildaar bada sona
Main de doon sara pyar isko
Dol sajna hai duniya badi bepeer ve
Bichdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye
Dol sajna hai duniya badi bepeer ve
Bichdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye
Shehnai ki sargamo si meethi teri baatein
Dekhun main khwaabon mein shaadi doli baraatein
Yaara tere saath meri shaamein hai sindoori
Na toh koi pyaas hai na chahat hai adhoori
Sau rab di ek pal bhi ab toh sehni nahi judaai
Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhun baar baar isko
Haan mera yaar dildaar bada sona
Main de doon sara pyar isko
Maathe pe chamke iske suraj ki laali
Hothon se chhalke dekho masti ki pyaali
Kirne lutaye dekho chaaro dishayein
Khushboo ka jhaunka leke aaye hawayein
Mera yaar dildaar bada sona
Main dekhun baar baar isko
O mera yaar dildaar bada sona
Main de doon sara pyar isko
Watch Video