Mera Saaya Saath Hoga
Mera Saaya
Lyrics
Tu jahan jahan chalega mera saaya saath hoga

Mera saaya mera saaya
Mera saaya mera saaya
Kabhi mujhko yaad karke joh bahenge tere aansun

Toh wahin pe rok lenge unhe aake mere aansun
Tu jidhar ka rukh karega mera saaya saath hoga
Tu jahan jahan chalega mera saaya saath hoga
Mera saaya mera saaya
Mera saaya mera saaya
Tu agar udaas hoga toh udaas hungi main bhi

Nazar aaun ya na aaun tere paas hungi main bhi
Tu kahin bhi ja rahega mera saaya saath hoga
Tu jahan jahan chalega mera saaya saath hoga
Mera saaya mera saaya
Mera saaya mera saaya
Main agar bichad bhi jaun kabhi mera gham na karna

Mera pyar yaad karke kabhi aankh namm na karna
Tu joh mudke dekh lega mera saaya saath hoga
Tu jahan jahan chalega mera saaya saath hoga
Mera saaya mera saaya
Mera saaya mera saaya
Mera gham raha hai shamil tere dukh mein tere gham mein

Mere pyar ne diya hai tera saath har janam mein
Tu koi janam bhi lega mera saaya saath hoga

Watch Video