Mera Chand Mujhe Aaya Hai Nazar
Yeh Hai Mumbai Meri Jaan
Lyrics
Mera chand mujhe aaya hai nazar
Mera chand mujhe aaya hai nazar
Ae raat zara tham thamke guzar
Ae raat zara tham thamke guzar
Chhaya hai nasha meri aankhon par
Chhaya hai nasha meri aankhon par
Ae raat zara tham thamke guzar
Ae raat zara tham thamke guzar
Mera chand mujhe aaya hai nazar
Mere dil mein hai armaan kayi kayi
Meri chahat hai abhi nayi nayi
Mere dil mein hai armaan kayi kayi
Meri chahat hai abhi nayi nayi
Reh jaye na pyasa pyar mera
Meri baahon mein bharde yaar mera
Itna sa karam tu kar mujhpar
Itna sa karam tu kar mujhpar
Ae raat zara tham thamke guzar
Ae raat zara tham thamke guzar
Mera chand mujhe aaya hai nazar
Abhi labon ko labon ne chhua nahi
Armaan koi pura hua nahi
Abhi labon ko labon ne chhua nahi
Armaan koi pura hua nahi
Abhi aas ka gulshan khilna hai
Abhi do jismo ko milna hai
Dekhunga abhi main woh manzar
Dekhunga abhi main woh manzar
Ae raat zara tham thamke guzar
Ae raat zara tham thamke guzar
Mera chand mujhe aaya hai nazar
Aaya hai nazar
Aaya hai nazar
Watch Video