Mela Dilon Ka
Mela
Lyrics
Is duniya mein desh kahi
Desh kahi mein desh hai ek
Aur us desh ka naam hai bharat, bharat, bharat, bharat, bharat
Hamara bharat, tumhara bharat
Pyara bharat, pyara bharat
Pyara bharat, pyara bharat
Hamara bharat, tumhara bharat
Bharat desh mein gaanv kahi
Gaanv kahi mein gaanv hai ek
Apne gaanv ke log naik
Logon ke seene mein rehta hai dil
Aur dil kehta hai, kehta hai, kehta hai, kehta hai, kehta hai, kehta hai dil
Kya kehta hai dil Ramji
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Aate hai musafir, jaate hai musafir
Jaana hi hai sabko kyun aate hai musafir
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Hans le, gaa le, yeh din na milenge kal
Thodi khushiyan hai thode se yeh pal
Hans le, gaa le, yeh din na milenge kal
Thodi khushiyan hai thode se yeh pal
Ek baar chali gayi joh yeh bahaarein
Laut ke na aayengi guzri bahaarein
Mela bahaaron ka
Mela bahaaron ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Aati hai bahaarein, jaati hai bahaarein
Jaana hi hai unko kyun aati hai bahaarein
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Saat ajoobe is duniya mein
Aathva hai roop tera Rupa
O Rupa, O meri Rupa mujhse door tu na jana meri Rupa
Rupa, Rupa, Rupa, Rupa
Aayi re jawani jaise rut toofani
Pagli yeh deewani uff main kya karun
Main bhayi sayani, sabko pareshani
Umar yeh suhani toh main kya karun
Dekh ri deewani na kar tu nadaani
Baar baar nahi aani yeh pal bhar ki jawani
Mela jawani ka
Mela jawani ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Aati hai jawani, jaati hai jawani
Jaana hi hai isko kyun aati hai jawani
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Bulbul, bulgul, bulbul, bulbul
Meri sakhi saheli bulbul
Is gaanv ki main bulbul hoon
Main udne ki hoon aadi
Main sab kuch kar sakti hoon
Par karoongi na main shaadi
Haan karoongi na main shaadi
Khila hai yahan mera bachpan na chhodungi yeh aangan
Sun bhai mere, sun gaanv mere, na baandho koi bandhan
Na baandho koi bandhan
Yehi rasm hai is duniya ki beti toh dhan hai paraya
Dooje ka dhan ghar apne koi bhi na rakh paya
Koi bhi na rakh paya
Mela bidaai ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Banke behna gudiya mere ghar mein aayi
Dulhan banke jana tha kyun gudiya banke aayi
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Mela dilon ka aata hai
Ik baar aake chala jaata hai
Watch Video