Mausam Ne Badal Se
Veergati
Lyrics
Mausam ne badal se kya kaha
Aankhon ne kajal se kya kaha
Mausam ne badal se kya kaha
Aankhon ne kajal se kya kaha
Chupkar meri nazar se jaao kahin bhi yaar
Jitna chupoge mujhse utna badhega pyar
Mausam ne badal se kya kaha
Aankhon ne kajal se kya kaha
Vaadon ki wadiyon ne humko humse milaya
Vaadon ki wadiyon ne humko humse milaya
Nazron ki nazaaron ne chahat ka gul khilaya
Geeton ne saazon se kya kaha
Neendon ne khwaabon se kya kaha
Chupkar meri nazar se jaao kahin bhi yaar
Jitna chupoge mujhse utna badhega pyar
Mausam ne badal se kya kaha
Aankhon ne kajal se kya kaha
Dharti ko choomti hai ambar ki bekarari
Dharti ko choomti hai ambar ki bekarari
Inki ada mein ab hai shamil ada hamari
Lehron ne sahil se kya kaha
Raahon ne manzil se kya kaha
Mausam ne badal se kya kaha
Aankhon ne kajal se kya kaha
Chupkar meri nazar se jaao kahin bhi yaar
Jitna chupoge mujhse utna badhega pyar
Watch Video