Lyric4U
Mausam Ka Jaadu

Hum Aapke Hain Koun

Watch Video
Lyrics
Ten, nine, eight, seven
Six, five, four, three
Two, one, let's start the fun
Thandi thandi purvaiya mein
Udhti hai chunariya
Aye dhadke mora jiya rama
Baali hai umariya
Dil pe nahi kabu
Kaisa yeh jaadu
Yeh mausam ka jaadu hai mitwa
Na ab dil pe kaabu hai mitwa
Naina jisme kho gaye
Deewane se ho gaye
Nazara woh harsu hai mitwa
O yeh mausam ka jaadu hai mitwa
Shehari babu ke sang
Mem gori gori
Aye aaise laage jaise
Chanda ki chakori
Phoolo kaliyo ki bahaarein
Chanchal yeh hawao ki pukarein
Phoolo kaliyo ki bahaarein
Chanchal yeh hawao ki pukarein
Humko yeh ishaaro mein kahe
Hum thamke yahan ghadiya guzarein
Pehle kabhi toh na humse
Batiyate the aaise phulwa
Yeh mausam ka jaadu hai mitwa, mitwa
Na ab dil pe kaabu hai mitwa
Naina jisme kho gaye
Deewane se ho gaye
Nazara woh harsu hai mitwa
O yeh mausam ka jaadu hai mitwa
Sachi sachi bolna
Bedh na chupana
Aye kaun dagar se aaye
Kaun disha hai jaana
Inko hum leke chale hai
Apne sang apni nagariya
Inko hum leke chale hai
Apne sang apni nagariya
Haai re sang anjaane ka
Us par anjaan dagariya
Phir kaise tum door itne
Sang aa gayi meri goriya
Yeh mausam ka jaadu hai mitwa, mitwa
Na ab dil pe kaabu hai mitwa
Naina jisme kho gaye
Deewane se ho gaye
Nazara woh harsu hai mitwa
Yeh mausam ka jaadu hai mitwa, mitwa
Watch Video