Lyric4U
Manzilein Apni Jagah

Sharaabi

Watch Video
Lyrics
Manzilon pe aake lutate hai dilon ke caravan
Kashtiyan saahil pe aksar doobti hai pyar ki
Manzilein apni jagah hai raaste apni jagah

Jab kadam hi saath na de toh musafir kya kare
Yoon toh hai humdard bhi aur humsafar bhi hai mera

Badhke koi haath na de dil bhala phir kya kare

Doobne waale ko tinke ka sahara hi bahut
Dil behal jaaye fakat itna ishara hi bahut
Itne par bhi aasmaan waala girade bijliyan
Koi batlade zara yeh doobta phir kya kare
Manzilein apni jagah hai raaste apni jagah
Pyar karna jurm hai toh jurm humse ho gaya
Kaabil-e-maafi hua karte nahi aise gunaah
Sangdil hai yeh jahaan aur sangdil mera sanam
Kya kare josh-e-junoon aur hausla phir kya kare