Lyric4U
Main Yeh Sochkar Uske Dar Se Utha Tha

Haqeeqat (1964)

Watch Video
Lyrics
Main yeh sochkar uske dar se utha tha
Ke woh rok legi, mana legi mujhko
Hawaon mein lehrata aata tha daaman
Ke daaman pakadkar bitha legi mujhko
Kadam aise andaaz se uth rahe the
Ke awaaz dekar bula legi mujhko
Magar usne roka, na usne manaya
Na daaman hi pakda, na mujhko bithaya
Na awaaz hi di, na vapas bulaya
Main aahista aahista badta hi aaya
Yahan tak ke usse juda ho gaya main
Yahan tak ke usse juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Watch Video