Main Teri Hoon Jaanam
Khoon Bhari Maang
Lyrics
Main teri hoon jaanam, tu mera jiya
Juda tan se jaan ko kisne kiya
Main teri hoon jaanam, tu mera jiya
Juda tan se jaan ko kisne kiya
Teri meethi meethi baaton mein kho jaaon
Jaise lehar lehar mein aise ek ho jaaon
Teri meethi meethi baaton mein kho jaaon
Jaise lehar lehar mein aise ek ho jaaon
Mera sab kuch ho gaya tera
Tera sab kuch hua mera
Main teri hoon jaanam, tu mera jiya
Juda tan se jaan ko kisne kiya
Mila pyar ka humko mauka yeh sunehra
Na toh koi deewar na koi pehra
Mila pyar ka humko mauka yeh sunehra
Na toh koi deewar na koi pehra
Jee bharke pyar karenge
Darr humko nahi zara
Main teri hoon jaanam, tu mera jiya
Juda tan se jaan ko kisne kiya
Main tere sang toofan mein bhi beh jaaon
Main tere sang sholon par bhi reh jaaon
Main tere sang toofan mein bhi beh jaaon
Main tere sang sholon par bhi reh jaaon
Teri baahein mera saahil
Saahil ki zaroorat kya
Main teri hoon jaanam, tu mera jiya
Juda tan se jaan ko kisne kiya
Watch Video