Main Sitaaron Ka Tarana
Chalti Ka Naam Gaadi
Lyrics
Main sitaaron ka tarana
Main bahaaron ka fasana
Leke ek angdaai mujh pe daal nazar banja deewana
Main sitaaron ka tarana
Main bahaaron ka fasana
Leke ek angdaai mujh pe daal nazar banja deewana
Roop ka tum ho khazana
Tum ho meri jaan yeh maana
Lekin pehle de do mera paanch rupaiya barah aana
Paanch rupaiya barah aana
Maarega bhaiya na na na
Maal-o-dhar bhool kar dil jigar hum se nishaani maango na
Dilruba kya kaha, dil jigar kya hai jawaani maango na
Tere liye Majnu ban sakta hoon
Laila Laila kar sakta hoon
Chahe namoona dekh lo haaye
Khoon-e-dil peene ko aur lakht-e-jigar khane ko
Khoon-e-dil peene ko aur lakht-e-jigar khane ko
Yeh giza milti hai Laila
Yeh giza milti hai Laila
Tere deewaane ko
Tere deewaane ko
Josh-e-ulfat ka zamana
Laage hai kaisa suhana
Leke ek angdaai mujh pe daal nazar banja deewana
Maanta hoon hai suhana
Josh-e-ulfat ka zamana
Lekin pehle de do mera paanch rupaiya barah aana
Paanch rupaiya barah aana
Maarega bhaiya na na na
Gham bhula, saaz utha
Raag mere roop ke tu gaaye jaa
Haaye dilruba, hoye dilruba
Haan issi andaz se farmaye jaa
Geet suna sakta hoon daadra
Ginkar poore barah maatra
Chahe namoona dekh lo haaye
Dheere se jaana baghiyan mein
Dheere se jaana baghiyan mein re bhanwra
Dheere se jaana baghiyan mein
Hoye lala dhing lala, hoye lala haaye
Tu kala ka hai deewana
Kam hai kya tujhko bahana
Leke ek angdaai mujh pe daal nazar banja deewana
Haan yeh acha hai bahana
Main kala ka hoon deewana
Lekin pehle de do mera paanch rupaiya barah aana
Paanch rupaiya barah aana
Maarega bhaiya na na na
Bekhabar pyar kar
Dhan ki duniya kya hai dhalti chaaya hai
Haaye haaye haaye dilruba, sach kaha
Saanch tera pyar baaki maya hai
Tere liye jogi ban sakta hoon
Jungle jungle phir sakta hoon
Chahe namoona dekh lo haaye
Teri gathri mein laaga chor musafir
Jaag zara tu jaag zara
Teri gathri mein laaga chor musafir
Jaag zara tu jaag zara
Teri gathri mein laaga chor chor
Main hoon teri jaan-e-jana
Aa mujhi se love lagana
Leke ek angdaai mujh pe daal nazar banja deewana
Jai guru maine yeh maana
Tu hai meri jaan-e-jaana
Lekin pehle de do mera yaak dui tran char paanch
Paanch rupaiya barah aana
Paanch rupaiya barah aana
Maarega bhaiya na na na
Paanch rupaiya barah aana, barah aana, barah aana
Watch Video