Lyric4U
Main Shayar Badnaam

Namak Haraam

Watch Video
Lyrics
Main shayar badnaam
Main shayar badnaam
Ho o o main chala, main chala
Mehfil se nakaam
Ho o o main chala, main chala
Main shayar badnaam
Mere ghar se tumko kuch samaan milega
Deewane shayar ka ek divaan milega
Aur ek cheez milegi, toota khali jaam
Ho o o main chala, main chala
Main shayar badnaam
Sholon pe chalna tha, kaanton pe sona tha
Aur abhi jee bhar ke kismat pe rona tha
Jaane aise kitne baaki chhod ke kaam
Ho o o main chala, main chala
Main shayar badnaam
Rasta rok rahi hai, thodi jaan hai baaki
Jaane toote dil mein kya armaan hai baaki
Jaane bhi de ae dil sabko mera salaam
Ho o o main chala, main chala
Main shayar badnaam
Ho o o main chala, main chala
Mehfil se nakaam
Ho o o main chala, main chala
Main shayar badnaam
Watch Video