Lyric4U
Main Kahin Bhi Rahoon

LOC Kargil

Watch Video
Lyrics
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Meri aankhon ki duniya hai sooni padi
Meri aankhon ki duniya hai sooni padi
Dil ki duniya magar tujhse aabaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Kaise bhoole bichadne ka woh pal mujhe
Ab bhi kar deta hai jaise pagal mujhe
Mujhse aansun chupake woh jaana tera
Dekhne phir woh khidki pe aana tera
Mujhe tera woh hasna aur khilkhilana yaad aata hai
Palat ke dekhna aur muskurana yaad aata hai, yaad aata hai
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Rabba ve rabba rabba
Rabba ve rabba rabba
Rabba ve rabba rabba
Rabba ve rabba rabba
Rab rakha soniya
Rab rakha soniya
Rabba ve rabba rabba
Rabba ve rabba rabba
Rabba ve rabba rabba
Rabba ve rabba rabba
Lehlahate huye kheton ka woh samma
Raah takna mera, tera aana wahan
Tera sharmana paas aate huye
Door charwahe bansi bajate huye
Door charwahe bansi bajate huye
Yaad hai mujhko teri woh betaabiyan
Koi aaye toh ho tujhko mera gumaan
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Is angoothi mein jhilmilati hai
Is angoothi mein jhilmilati hai
Teri yaadon ki ik kiran aise
Baithi phoolon ki sajeeli doli mein
Baithi phoolon ki sajeeli doli mein
Muskuraye koi dulhan jaise
Jahan bas raj hai tera
Jahan bas raj hai tera
Woh aangan yaad aata hai
Wahan ghutno joh chalta hai
Woh bachpan yaad aata hai
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam har ghadi
Tera har baat par inkaar
Yaad aata hai mujhko
Na karna koi bhi iqraar
Yaad aata hai mujhko
Bigadna woh tera har baar
Yaad aata hai mujhko
Tere gusse mein tha joh pyar
Yaad aata hai mujhko
Yaad aata hai mujhko
Yaad aata hai mujhko
Tera woh daudke aana
Tera woh daudke aana
Woh milna yaad aata hai
Tere khamosh honthon ka
Woh hilna yaad aata hai