Lyric4U
Main Agar

Tubelight

Watch Video
Lyrics
Main agar sitaaron se churake laaun roshni
Hawaon se churake laaun ragini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Main agar nazaron se churake laaun rangatein
Mazaaron se churake laaun barqatein
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Yeh duniya parayi hai, bas ek apna hai tu
Joh sach ho mera woh savere ka sapna hai tu
Dekhunga tera rasta
Ho kuch tujhe bas khuda na khasta
Tere bina umar ke safar mein bada hi tanha hoon main
Raftaar joh waqt ki pakad na sake woh lamha hoon main
Faagun ke mahine tere bina hai pheeke
Joh tu nahi toh saare saawan mere sookhe
Main agar kitaabon se churake laaun qaayde
Hisaabon se churake laaun faayde
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Main agar sitaaron se churake laaun roshni
Hawaon se churake laaun ragini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Yeh duniya parayi hai, bas ek apna hai tu
Joh sach ho mera woh savere ka sapna hai tu
Dekhunga tera rasta
Ho kuch tujhe bas khuda na khasta
Khuda na khasta
Khuda na khasta
Watch Video