Lyric4U
Maa

Taare Zameen Par

Watch Video
Lyrics
Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yoon toh main dikhlata nahin
Teri parwah karta hoon main maa
Tujhe sab hai pata, hai na maa
Tujhe sab hai pata, meri maa
Bheed mein yoon na chhodo mujhe
Ghar laut ke bhi aa na paaon maa
Bhej na itna door mujhko tu
Yaad bhi tujhko aa na paaon maa
Kya itna bura hoon main maa
Kya itna bura, meri maa
Jab bhi kabhi papa mujhe
Joh zor se jhoola jhulate hai maa
Meri nazar dhoondhe tujhe
Sochon yahi tu aake thamegi maa
Unse main yeh kehta nahin
Par main seham jaata hoon maa
Chehre pe aane deta nahin
Dil hi dil mein ghabrata hoon maa
Tujhe sab hai pata, hai na maa
Tujhe sab hai pata, meri maa
Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yoon toh main dikhlata nahin
Teri parwah karta hoon main maa
Tujhe sab hai pata, hai na maa
Tujhe sab hai pata, meri maa
Watch Video