Lo Aa Gayi Unki Yaad
Do Badan
Lyrics
Lo aa gayi unki yaad, woh nahi aaye
Lo aa gayi unki yaad, woh nahi aaye
Dil unko dhoondhta hai gham ka singaar karke
Aankhen bhi thak gayi hai ab intezaar karke
Aankhen bhi thak gayi hai ab intezaar karke
Ik saans reh gayi hai woh bhi na toot jaaye
Lo aa gayi unki yaad, woh nahi aaye
Roti hai aaj hum par tanhaiyan hamari
Roti hai aaj hum par tanhaiyan hamari
Woh bhi na paaye shayad parchaiyan hamari
Badhte hi jaa rahe hai mayoosiyon ke saaye
Lo aa gayi unki yaad, woh nahi aaye
Lau thar-thara rahi hai ab shamm-e-zindagi ki
Ujhdi hui mohabbat mehmaan hai do ghadi ki
Ujhdi hui mohabbat mehmaan hai do ghadi ki
Markar hi ab milenge jeekar toh mil na paaye
Lo aa gayi unki yaad, woh nahi aaye
Lo aa gayi unki yaad, woh nahi aaye
Watch Video