Likha Hai Teri Aankhon Mein
Teen Devian
Lyrics
Likha hai teri aankhon mein kiska afsana

Agar isse samajh sako mujhe bhi samjhana

Jawaab sa kisi tamanna ka
Likha toh hai magar adhoora sa
Jawaab sa kisi tamanna ka
Likha toh hai magar adhoora sa
O kaisi na ho meri har baat adhoori, abhi hoon aadha deewana
Likha hai teri aankhon mein kiska afsana
Agar isse samajh sako mujhe bhi samjhana
Likha hai teri aankhon mein kiska afsana
Joh kuch nahi toh yeh ishare kyun
Thehar gaye mere sahare kyun
Joh kuch nahi toh yeh ishare kyun
Thehar gaye mere sahare kyun
O thoda sa haseeno ka sahara leke chalna hai meri aadat rozana
Likha hai teri aankhon mein kiska afsana
Agar isse samajh sako mujhe bhi samjhana
Likha hai teri aankhon mein kiska afsana
Yahan wahan fiza mein awaara
Abhi talak yeh dil hai bechara
Yahan wahan fiza mein awaara
Abhi talak yeh dil hai bechara
O dil ko tere toh hum khaak na samjhe, tujhi ko humne pehchana

Watch Video