Lyric4U
Lakhon Taare Aasman Mein

Hariyali Aur Rasta

Watch Video
Lyrics
Lakhon taare aasman mein ek magar dhoonde na mila
Dekh ke duniya ki Diwali dil mera chup-chap jala
Dil mera chup-chap jala
Lakhon taare aasman mein ek magar dhoonde na mila
Ek magar dhoonde na mila
Kismat ka hai naam magar hai kaam yeh duniya walo ka
Phoonk diya hai chaman hamare khwaabo aur khayalo ka
Jee karta hai khud hi ghonth de apne armaano ka gala
Dekh ke duniya ki Diwali dil mera chup-chap jala
Dil mera chup-chap jala
Sau sau sadiyo se lambi yeh gham ki raat nahi dhalti
Is andhiyare ke aage ab ae dil ek nahi chalti
Hanste hi lut gayi chandni aur uthte hi chand dhala
Dekh ke duniya ki Diwali dil mera chup-chap jala
Dil mera chup-chap jala
Maut hai behtar is halat se naam hai jiska majboori
Kaun musafir taiy kar paya dil se dil ki yeh doori
Kaanto hi kaanto se guzra joh raahi is raah chala