Lyric4U
Lahoo Banke Aansoon

Mujhse Shaadi Karogi

Watch Video
Lyrics
Rabba mere rabba
Rabba mere rabba yeh kya ho gaya hai
Mera yaar mujhse judaa ho gaya hai
Judaa ho gaya hai
Ho dil apna dena khata ho gaya hai
Tujhe pyar karna saza ho gaya hai
Saza ho gaya hai
Ho tujhe is tarah se yaad karne lage hai
Tujhe is tarah se yaad karne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Mohabbat se hum bhi ab toh darne lage hai
Mohabbat se hum bhi ab toh darne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Yeh judaai, beqaraari, haaye yeh majbooriyan
Har kadam par saath hongi ab meri tanhaaiyan
Ab zamana jaan lega pyar ki dushwaariyan
Meri dushman ban gayi hai meri hi parchaaiyan
Khushi ke liye hum ab tarasne lage hai
Khushi ke liye hum ab tarasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Ho gaye hum kitne tanha pyar mein dil haarke
Das rahi hai yeh judaai bin sajan bin pyar ke
Yaad humko aa rahe hai chaar din woh pyar ke
Woh adayein woh shararat, haaye jalwe yaar ke
Ho judaai ke gham bhi mujhpe hasne lage hai
Judaai ke gham bhi mujhpe hasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Dil apna dena khata ho gaya hai
Tujhe pyar karna saza ho gaya hai
Saza ho gaya hai
Ho tujhe is tarah se yaad karne lage hai
Tujhe is tarah se yaad karne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Lahoo banke aansoon barasne lage hai
Watch Video