Lagi Aaj Sawan Ki
Chandni
Lyrics
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Wahi aag seene mein phir jal padi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Kuch aise hi din the woh jab hum mile the
Chaman mein nahi phool dil mein khile the
Wohi toh hai mausam magar rut nahi woh
Mere saath barsaat bhi roh padi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Koi kaash dil pe zara haath rakh de
Mere dil ke tukdon ko ik saath rakh de
Magar yeh hai khwaabon khayalon ki baatein
Kabhi toot kar cheez koi judi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Wahi aag seene mein phir jal padi hai
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai
Watch Video