Lyric4U
Ladka Yeh Kehta Hai

Main Prem Ki Diwani Hoon

Watch Video
Lyrics
Husn ka mara hoon
Dil se begana hoon
Mastana ajnabi hoon
Thoda sa deewana hoon
Mehki hawaon ne mujhko bulaya hai
Pariyon ki nagari mein pardesi aaya hai
Ladka yeh kehta hai ladki se
Honthon pe dabi dabi hasi se
Aaya hoon door se karne main dosti
Haath mila lo ajnabi se
Ladka yeh kehta hai ladki se
Honthon pe dabi dabi hasi se
Aaya hoon door se karne main dosti
Haath mila lo ajnabi se
Jaan lo, maan lo
Chehra mera pehchan lo
Ladka yeh kehta hai ladki se
Aap ka saath toh suhana hai
Baaton mein meetha tarana hai
Aap ka saath toh suhana hai
Baaton mein meetha tarana hai
Dil ke kono mein bitha lo ji
Kitna akela deewana hai
Ladka yeh kehta hai ladki se
De do jawaab mujhe jaldi se
Aaya hoon door se karne main dosti
Haath mila lo ajnabi se
Jaan lo, maan lo
Chehra mera pehchan lo
Ladka yeh kehta hai ladki se
Kyun darti ho dil nahi todunga
Main tera saath nahi chhodunga
Kyun darti ho dil nahi todunga
Main tera saath nahi chhodunga
Mujhko kabhi aazmalo ji
Tum se kabhi mooh na modunga
Ladka yeh kehta hai ladki se
Ithlati sharmati sharmili se
Aaya hoon door se karne main dosti
Haath mila lo ajnabi se
Jaan lo, maan lo
Chehra mera pehchan lo
La la la la la ... la la la la la
Watch Video