Lyric4U
Laapata

Ek Tha Tiger

Watch Video
Lyrics
Aankhon ko yoon band karke
Dheeme dheeme gin ginke
Dhoondo hum mein, hum hai kahan
Ho bhoole se fasaane hai
Zameen se begaane hai
Dekho hue hum toh hawa
Dil ke kinare
Khwaabon ke neeche
Hai khoya khoya apna jahaan
Main laapata ... aa aa aa
Tu laapata ... aa aa aa
Hosh o hawaas ... aa aa aa
Hai laapata ... aa aa aa
Haan yeh zidd hai meri
Tujhko hi sochenge ab hum
Roshni yeh teri
Khwaabon mein rakhenge band hum
Haan subah kab soyi
Taare kab jaage
Hum bhoole hai ki kab kya hua
Main laapata ... aa aa aa
Tu laapata ... aa aa aa
Hosh o hawaas ... aa aa aa
Hai laapata ... aa aa aa
Le rahe the saansein
Zinda nahi the kabhi hum
Dil yeh tujhko deke
Dhadkan se waaqif hue hum
Haan tujh mein hi gum hai
Tujh mein hi khoye
Ab dar se tere jaana kahan
Main laapata ... aa aa aa
Tu laapata ... aa aa aa
Hosh o hawaas ... aa aa aa
Hai laapata ... aa aa aa
Watch Video