Kyon Hawa
Veer Zaara
Lyrics
(Ek din jab savere savere
Surmai se andhere ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se
Sooraj ne sar joh uthaya toh dekha
Dil ki vaadi mein chahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyan
Mehakne lagi hai)
(Ankahi ansuni aarzoo
Aadhi soyi hui, aadhi jaagi hui
Aankhen malte hue dekhti hai
Lehar dar lehar, mauj dar mauj
Behti hui zindagi
Jaise har ek pal nayi
Aur phir bhi wohi, haan wohi zindagi
Jiske daaman mein koi mohabbat bhi hai
Koi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai
Door jaana bhi hai
Aur yeh ehsaas hai
Waqt jharne sa behta hua
Ja raha hai yeh kehta hua
Dil ki vaadi mein chahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyan
Mehakne lagi hai)
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Kyon fiza rang chalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chandni din mein kyon chha rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai yeh silsila
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai
Jahan tak bhi jaaye nigaahein
Baraste hai jaise ujaale
Jahan tak bhi jaaye nigaahein
Baraste hai jaise ujaale
Saji aaj kyon hai yeh raahein
Khile phool kyon hai niraale
Khushbooyein kaisi yeh beh rahi hai
Dhadkanein jaane kya keh rahi hai
Mere dil bata yeh kahani hai kya
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai
Yeh kiska hai chehra jisse main
Har ek phool mein dekhta hoon
Yeh kiska hai chehra jisse main
Har ek phool mein dekhta hoon
Yeh kiski hai awaaz jisko
Na sunke bhi main sun raha hoon
Kaisi yeh aahatein aa rahi hai
Kaise yeh khwaab dikhla rahi hai
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai
Watch Video