Lyric4U
Kuch Saal Pehle

Yaadein

Watch Video
Lyrics
Wahe wahe zum zum zum wahe wahe
Wahe wahe zum zum zum wahe wahe
(Sargam)
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Apni bhi kabhi pehli mulaqat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Wahe wahe zum zum zum wahe wahe
Wahe wahe zum zum zum wahe wahe
(Sargam)
Baarish mein sadak par
Haan chhatri pakad kar
Main ja raha tha yoon
Woh aa rahi thi yoon
Aa rahi thi yoon yoon yoon yoon haai
(Sargam)
Takra gaye dono
Ghabra gaye dono
Ghabrake yeh kaha jee maaf kijiye
Matlab tha jiska yeh dil humko dijiye
Dil humko dijiye, dil humko dijiye
Dil humko dijiye, dil humko dijiye
Romance ho gaya
By chance ho gaya
Romance ho gaya
By chance ho gaya
Hum ban gaye sanam
Tha waqt bahut kam
Jaldi se dil diya
Pandit bula liya
Ghode pe baith ke hum dulha ban gaye
Hum dulha ban gaye, hum dulha ban gaye
Wahe wahe zum zum zum wahe wahe
Kitni haseen woh
Wahe wahe zum zum zum wahe wahe
Kitni haseen woh milan ki raat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
(Sargam)
(Phir kya hua, kya hua Raj babu)
Kya jaane kya khabar
Kiski lagi nazar
Vaadon ko todke
Yaadon ko chhodke
Woh kya bichad gayi
Duniya ujadh gayi
Deepak hai lau nahi
Main toh hoon woh nahi
Woh nahi, woh nahi
(Sargam)
Hoti woh aaj toh
Dholak bajati woh
Hoti woh aaj toh
Dholak bajati woh
Masti mein jhoomti
Beti ko choomti
Deti duayein woh
Leti balayein woh
Gaati suhaag woh
Lagti na aag woh
Main jis mein jal gaya
Sab kuch badal gaya
Sab kuch badal gaya, sab kuch badal gaya
Us roz aansuyon ki barsaat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Nagme hain, shikve hain
Kisse hain, baatein hain
Nagme hain, shikve hain
Kisse hain, baatein hain
Baatein bhool jaati hain
Yaadein yaad aati hain
Baatein bhool jaati hain
Yaadein yaad aati hain
Yaadein, yaadein, yaadein
Yeh yaadein kisi dil-o-jaanam ke
Chale jaane ke baad aati hain
Watch Video