Kuch Na Kaho (Female)
1942: A Love Story
Lyrics
Kuch na kaho kuch bhi na kaho
Kuch na kaho kuch bhi na kaho
Kya kehna hai, kya sunna hai
Mujhko pata hai, tumko pata hai
Samay ka yeh pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahi hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho kuch bhi na kaho
Khoyi sab pehchaane
Khoye saare apne
Samay ki chhalni se gir girke
Khoye saare sapne
Khoyi sab pehchaane
Khoye saare apne
Samay ki chhalni se gir girke
Khoye saare sapne
Aur is pal mein koi nahi hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho kuch bhi na kaho
Humne jab dekhe the
Sundar komal sapne
Phool, sitare, parvat, baadal
Sab lagte the apne
Humne jab dekhe the
Sundar komal sapne
Phool, sitare, parvat, baadal
Sab lagte the apne
Aur is pal mein koi nahi hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho kuch bhi na kaho
Kya kehna hai, kya sunna hai
Mujhko pata hai, tumko pata hai
Samay ka yeh pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahi hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Watch Video