Koi Ladki Mujhe Kal Raat
Seeta Aur Geeta
Lyrics
Koi ladki mujhe kal raat sapne mein mili
Badi pyari si soorat thi bhala sa naam tha
La la la la la la la
Koi ladka mujhe kal raat sapne mein mila
Badi pyari si soorat thi bhala sa naam tha
La la la la la la la
Dekh leti main joh us bairan sautan ko
Jaan le leti main kasam se
Dekh leta main joh us tere sajan ko
Jaan de deta main sharam se
Ho phir kyun roothe
Tum joh roothi la la la
Arre tum hi mujhe kal raat sapne mein mili
Arre tum hi mujhe kal raat sapne mein mile
Mujhe tumse tumhe mujhse zaroori kaam tha
La la la la la la la
Tumhe mujhse mujhe tumse zaroori kaam tha
Chandni thi raatein, khoob huyi mulaqatein
Pyar bhari huyi baatein dono mein
Raat bhar hum jaage, nain piya sang laage
Rang bhare huye vaade dono mein
Tum jhoothi ho
Tum jhoothe ho la la la
Koi ladka, koi ladki
Koi ladki mujhe kal raat sapne mein mili
Badi pyari si soorat thi bhala sa naam tha
La la la la la la la
Watch Video