Kisi Patthar Ki Murat Se
Hamraaz
Lyrics
Kisi patthar ki murat se mohabbat ka iraada hai
Parastish ki tamanna hai, ibadat ka iraada hai

Kisi patthar ki murat se
Joh dil ki dhadkane samjhe na aankhon ki zubaan samjhe

Nazar ki guftagu samjhe na jazbon ka bayaan samjhe

Ussi ke saamne uski shikayat ka iraada hai
Ussi ke saamne uski shikayat ka iraada hai
Kisi patthar ki murat se mohabbat ka iraada hai
Parastish ki tamanna hai, ibadat ka iraada hai
Kisi patthar ki murat se
Suna hai har jawan patthar ke dil mein aag hoti hai

Magar jab tak na chhedo sharmagi parde mein soti hai
Yeh socha hai ki dil ki baat uske rubaru keh dein
Nateeja kuch bhi nikle aaj apni aarzu keh dein
Har ek bejaan takalluf se bagawat ka iraada hai
Har ek bejaan takalluf se bagawat ka iraada hai
Kisi patthar ki murat se
Mohabbat berukhi se aur bhadkegi, woh kya jaane

Tabiyat is ada pe aur phadkegi, woh kya jaane

Woh kya jaane ke apna kis qayamat ka iraada hai

Watch Video