Khuda Kare Ke Mohabbat Mein
Sanam
Lyrics
Khuda kare
Khuda kare ke mohabbat mein woh maqaam aaye

Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye

Khuda kare ho o o
Koi mita na sake dil ke is fasane ko
Koi mita na sake dil ke is fasane ko
Karun main yaad tujhe bhoolke zamane ko
Uthe joh meri nazar tera hi salaam aaye
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye
Khuda kare ho o o
Deewanepan ka nasha saari umr na utre
Deewanepan ka nasha saari umr na utre
Wafa ki bandgi mein apni zindagi guzre
Deewane dil ki tadap kuch toh tere kaam aaye

Watch Video