Kholo Kholo
Taare Zameen Par
Lyrics
Kholo kholo darwaze
Parde karo kinare
Khutey se bandhi hai hawa
Milke chhudao saare
Aa jao patang leke
Apne hi rang leke
Aasmaan ka shamiyana
Aaj hum mein hai sajana
Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Duniya saji tere liye
Khud ko zara pehchaan tu
Tu dhoop hai jham se bikhar
Tu hai nadi o bekhabar
Beh chal kahin
Ud chal kahin
Dil khush jahan
Teri toh manzil hai wahin
Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Baasi zindagi udaasi
Taazi hasne ko raazi
Garma garm saari
Abhi abhi hai utaari
Zindagi toh hai batasha
Meethi meethi si hai asha
Chakh le rakh le
Hatheli se dhak le isse
Tujh mein agar pyaas hai
Baarish ka ghar bhi pass hai
Roke tujhe koi kyun bhala
Sang sang tere aakash hai
Tu dhoop hai jham se bikhar
Tu hai nadi o bekhabar
Beh chal kahin
Ud chal kahin
Dil khush jahan
Teri toh manzil hai wahin
Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Kholo kholo darwaze
Parde karo kinare
Khutey se bandhi hai hawa
Milke chhudao saare
Aa jao patang leke
Apne hi rang leke
Aasmaan ka shamiyana
Aaj hum mein hai sajana
Khul gaya
Aasmaan ka rasta dekho khul gaya
Mil gaya
Kho gaya tha joh sitara mil gaya
Roshan hui saari zameen
Jagmag hua saara jahaan
Udne ko tu aazad hai
Bandhan koi ab hai kahan
Tu dhoop hai jham se bikhar
Tu hai nadi o bekhabar
Beh chal kahin
Ud chal kahin
Dil khush jahan
Teri toh manzil hai wahin
Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Watch Video