Lyric4U
Kehta Hai Yeh Mausam

Sapne Saajan Ke

Watch Video
Lyrics
Kehta hai yeh mausam chha rahi hai kahin pe ghatta

Panchi gaa rahe hai inse poochungi tera pata
Meri zulfon ko chhede deewani yeh pagal hawa
Sapne saajan ke de rahe hai ab humko sada

Bhanware tarane gaaye
Gaake humein sunaye
Phoolon ka dil hai jawaan
Aayi jawaani aayi
Kya rut suhaani aayi
Kitna haseen hai samaan
Bhanware tarane gaaye
Gaake humein sunaye
Phoolon ka dil hai jawaan
Aayi jawaani aayi
Kya rut suhaani aayi
Kitna haseen hai samaan
Aise mein jee karta hai karne ko koi khata
Kehta hai yeh mausam chha rahi hai kahin pe ghatta
Panchi gaa rahe hai inse poochungi tera pata
Sapne saajan ke de rahe hai ab humko sada
Apna banaungi main
Dil mein basaungi main
Jab woh milega mujhe
Kiski deewani hoon main
Kiski kahani hoon main
Kaise bataun tujhe
Apna banaungi main
Dil mein basaungi main
Jab woh milega mujhe
Kiski deewani hoon main
Kiski kahani hoon main
Kaise bataun tujhe
Aaj nahin toh kal mil jayega uska pata
Kehta hai yeh mausam chha rahi hai kahin pe ghatta
Panchi gaa rahe hai inse poochungi tera pata
Sapne saajan ke de rahe hai ab humko sada
Meri zulfon ko chhede deewani yeh pagal hawa
Sapne saajan ke de rahe hai ab humko sada
Sapne saajan ke de rahi hai sab humko sada
Watch Video