Kehdo Ek Baar Sajna
Mrityudand
Lyrics
Kehdo ek baar sajna itna kyun pyar sajna
Hai mujh mein aisa bhi kya re
Baadal hai tera kajal, ambar hai tera aanchal
Suraj hai teri bindiya re
Kehdo ek baar sajna itna kyun pyar sajna
Hai mujh mein aisa bhi kya re
Baadal hai tera kajal, ambar hai tera aanchal
Suraj hai teri bindiya re
Sajna ji aap kyun aise bechain hai
Chain toh mera loote tere yeh do nain hai
Sajna ji aap kyun aise bechain hai
Chain toh mera loote tere yeh do nain hai
Naino mein kaise main keh doon hai kya
Kehdo ek baar sajna do aur do char sajna
Naino mein aisa bhi kya re
Kajre ki dhaar in mein, aisi talwaar in mein
Cheene joh meri nindiya re
Sajna ji aap kyun aise betaab hai
Tere yeh baal in sawalon ka jawab hai
Sajna ji aap kyun aise betaab hai
Tere yeh baal in sawalon ka jawab hai
Baalon mein kaise main keh doon hai kya
Kehdo ek baar sajna mere dildaar sajna
Baalon mein aisa bhi kya re
Baalon mein naag tere jin se darte sapere
Das gaye yeh naag daiyya re
Sajna ji aap kyun aise behaal hai
Tera chehra dekhun toh aate sau khayal hai
Sajna ji aap kyun aise behaal hai
Tera chehra dekhun toh aate sau khayal hai
Chehre mein kaise main keh doon hai kya
Kehdo ek baar sajna, o bekaraar sajna
Chehre mein aisa bhi kya re
Dekhun din raat sajni par hai yeh baat sajni
Lagta hai phir bhi naya re
Kehdo ek baar sajna itna kyun pyar sajna
Hai mujh mein aisa bhi kya re
Baadal hai tera kajal, ambar hai tera aanchal
Suraj hai teri bindiya re
Watch Video