Keh Do Koi Na Kare Yahan Pyar
Goonj Uthi Shehnai
Lyrics
Bikhar gaye bachpan ke sapne
Armaano ki shaam dhale
Kahin saje baaraat kisi ki
Kahin kisi ka pyar jale
Keh do koi na kare yahan pyar
Keh do koi na kare yahan pyar
Is mein khushiyan hai kam
Beshumar hai gham
Ek hansi aur aansun hazar
Keh do koi na kare yahan pyar
Preet patanga diye se kare
Preet patanga diye se kare
Uski hi lau mein woh jal jal mare
Mushkil raahein yahan
Ashq aur aahein yahan
Is mein chain nahi na qaraar
Keh do koi na kare yahan pyar
Humne toh samjha tha phool khile
Humne toh samjha tha phool khile
Chun chunke dekha toh kaante mile
Yeh anokha jahaan
Hardam dhoka yahan
Is veerane mein kaisi bahaar
Keh do koi na kare yahan pyar
Is mein khushiyan hai kam
Beshumar hai gham
Ek hansi aur aansun hazar
Keh do koi na kare yahan pyar
Watch Video