Lyric4U
Kaun Kisi Ko Bandh Saka

Kaalia

Watch Video
Lyrics
Kaun kisi ko bandh saka
Haan kaun kisi ko bandh saka
Sayyad toh ek deewana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Kaun kisi ko bandh saka
Sayyad toh ek deewana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Angdai le karke jaagi hai naujawani
Angdai le karke jaagi hai naujawani
Sapne naye hai aur zanjeer hai purani
Peharedar faaqe se, barso ram dhadake se
Hoshiyar bhai sab hoshiyar
Raat andheri, rut barkha
Aur gafil sara zamana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Kaun kisi ko bandh saka
Sayyad toh ek deewana hai
Todke pinjra ek na ek din
Arre panchi ko udh jaana hai
Khidki se rukta hai jhaunka kahin hawa ka
Hil jaye deewarein aisa karo dhamaka
Khidki se rukta hai jhaunka kahin hawa ka
Hil jaye deewarein aisa karo dhamaka
Bole dhol tashe se, barso ram dhadake se
Hoshiyar bhai sab hoshiyar
Dekh ke bhi na koi dekhe
Aisa kuch rang jamana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Kaun kisi ko bandh saka
Sayyad toh ek deewana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Kehdo shikari se fanda lagake dekhe
Kehdo shikari se fanda lagake dekhe
Ab jis mein himmat ho raste mein aake dekhe
Nikla sher hanke se, barso ram dhadake se
Jaane waale ko jaana hai
Aur seena taan ke jaana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Kaun kisi ko bandh saka
Sayyad toh ek deewana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Kaun kisi ko bandh saka
Sayyad toh ek deewana hai
Todke pinjra ek na ek din
Panchi ko udh jaana hai
Watch Video