Kaun Hai Woh
Ishq Vishk
Lyrics
Hey kaun hai woh
Kaun hai woh
Hey kaun hai woh
Heere jaisi aankhon wali ... kaun hai woh
Sone jaise baalon wali ... kaun hai woh
Chandi jaise rangon wali ... kaun hai woh
Dheemi dheemi chaalon wali ... kaun hai
Kaun hai woh
Laakhon haseen dekhe koi thehra na saamne
Aate hi iske dekho sabke chehre utar gaye
Yeh bala kaun hai, iska naam hai kya
Rehti hai kahan, karti kaam hai kya
Laakhon haseen dekhe koi thehra na saamne
Aate hi iske dekho sabke chehre utar gaye
Yeh bala kaun hai, iska naam hai kya
Rehti hai kahan, karti kaam hai kya
Laal dupatta, oonche sandal, reshmi kameez
Pehle na dekhe thi maine aisi koi cheez
Is jawaan hoor se, baat kar door se
Ho jaaye na yeh khafa
Laakhon haseen dekhe koi thehra na saamne
Aate hi iske dekho sabke chehre utar gaye
Yeh bala kaun hai, iska naam hai kya
Rehti hai kahan, karti kaam hai kya
Yeah, yeah, yeah, yeah!
Yeah, yeah, yeah!
Har dhadkan ko meri tamanna, labon ko meri pyaas
Sab hai mere ishq mein pagal, sabko meri talaash
Mujh mein hai shokhiyan, mujh mein hai mastiyan
Har dil pe mera nasha
Laakhon haseen honge koi mujhsa yahan kahan
Kitne jawaan ladke meri chahat pe mar gaye
Yeh umar, yeh nazar, husn ki yeh ada
Jisne dekha mujhe ho gaya woh fida

Watch Video