Karvaten Badalte Rahe
Aap Ki Kasam
Lyrics
Karvaten badalte rahe sari raat hum
Karvaten badalte rahe sari raat hum
Aap ki kasam, aap ki kasam
Karvaten badalte rahe sari raat hum
Aap ki kasam, aap ki kasam
Gham na karo din judaai ke bahut hai kam
Aap ki kasam, aap ki kasam
Yaad tum aate rahe ek huk si uthti rahi
Neend mujhse, neend se main bhagti chupti rahi
Raat bhar bairan nighodi chandni chubti rahi
Aag si jalti rahi girti rahi shabnam
Aap ki kasam, aap ki kasam
Jheel si aankhon mein aashiq dubke kho jayega
Zulf ke saaye mein dil armaan bhara so jayega
Tum chale jao nahi toh kuch na kuch ho jayega
Dagmaga jayenge aise haal mein kadam
Aap ki kasam, aap ki kasam
Ruth jaye hum toh tum humko mana lena sanam
Door hoon toh paas humko tum bula lena sanam
Kuch gila ho toh gale humko laga lena sanam
Toot na jaye kabhi yeh pyar ki kasam
Aap ki kasam, aap ki kasam
Aap ki kasam, aap ki kasam
Aap ki kasam, aap ki kasam
Watch Video