Lyric4U
Kahin Toh Hogi Woh

Jaane Tu Ya Jaane Na

Watch Video
Lyrics
Kahin toh, kahin toh hogi woh
Duniya jahan tu mere saath hai
Jahan main, jahan tu
Aur jahan bas tere mere jazbaat hai
Hogi jahan subah teri
Palko ki kirano mein
Lori jahan chaand ki
Sune teri baahon mein
Jaane na kahan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahi
Jahan meri zindagi mujhse
Itni khafa nahi
Jaane na kahan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahi
Jahan meri zindagi mujhse
Itni khafa nahi
Saansein kho gayi hai
Kiski aahon mein
Main kho gayi hoon jaane
Kiski baahon mein
Manzilon se raahein doondhti chali
Kho gayi hai manzil kahin raahon mein
Kahin toh, kahin toh hai nasha
Teri meri har mulaqat mein
Honthon se, honthon ko
Choomte aur rehte hai hum har baat pe
Kehti hai fiza jahan
Teri zameen aasmaan
Jahan hai tu, meri hassi
Meri khushi, meri jaan
Jaane na kahan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahi
Jahan meri zindagi mujhse
Itni khafa nahi
Jaane na kahan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahi
Jahan meri zindagi mujhse
Itni khafa nahi
Jaane na kahan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahi
Jahan meri zindagi mujhse
Itni khafa nahi
Watch Video