Kabhii Tumhhe
Shershaah
Lyrics
Tum agar manaoge toh maan jaunga
Main tere bulane pe laut aaunga
Har safar mein saath tera main yoon hi nibhaunga
Kabhi tumhe yaad meri aaye
Palkon se zulfein hata lena
Saaf dikhunga main tumko wahin
Joh na dikhun toh bata dena
Kabhi mujhe der joh ho jaaye
Waqt ko thoda bacha lena
Phir se milunga main tumko wahin
Joh na milun toh saza dena
Meri zameen ko tere kadam ka na jaane kab se tha intezaar
Ek na ek din aana hai tumko dil ko mere hai yeh aitbaar
Main khuda se tere sivah kuch aur na maangunga
Kabhi tumhe yaad meri aaye
Itni si baat samajh jaana
Phir se milunga main tumko wahin
Raah se meri guzar jaana
Watch Video