Jiska Koi Nahin (I)
Laawaris (1981)
Lyrics
Ik din kisi fakeer ne ik baat kahi thi
Ab jaake dil ne maana, maana woh baat sahi thi
Jiska koi nahin uska toh khuda hai yaaron

Main nahin kehta
Main nahin kehta, kitaabon mein likha hai yaaron

Haan khuda hai yaaron
Hum toh kya hai
Hum toh kya hai woh farishton ko aazmata hai

Banakar humko mitata hai, phir banata hai
Aadmi toot ke
Aadmi toot ke sau baar judaa hai yaaron
Jiska koi nahin uska toh khuda hai yaaron
Jiska koi nahin uska toh khuda hai yaaron
Haan khuda hai yaaron
Kab talak humse
Kab talak humse yeh taqdeer bhala roothegi

In andheron se ujaale ki kiran phootegi
Gham ke daaman mein
Gham ke daaman mein kahin chain chupa hai yaaron

Watch Video