Jayen Toh Jayen Kahan (Male)
Taxi Driver
Lyrics
Jayen toh jayen kahan
Jayen toh jayen kahan
Samjhega kaun yahan dard bhare dil ki zubaan
Jayen toh jayen kahan
Samjhega kaun yahan dard bhare dil ki zubaan
Jayen toh jayen kahan
Maayusiyon ka majma hai jee mein
Kya reh gaya hai is zindagi mein
Maayusiyon ka
Maayusiyon ka majma hai jee mein
Kya reh gaya hai is zindagi mein
Rooh mein gham, dil mein dhuaan
Jayen toh jayen kahan
Samjhega kaun yahan dard bhare dil ki zubaan
Jayen toh jayen kahan
Unka bhi gham hai, apna bhi gham hai
Ab dil ke bachne ki umeed kam hai
Unka bhi gham hai
Unka bhi gham hai, apna bhi gham hai
Ab dil ke bachne ki umeed kam hai
Ek kashti sau toofan
Jayen toh jayen kahan
Samjhega kaun yahan dard bhare dil ki zubaan
Jayen toh jayen kahan
Watch Video