Janeman Tum Kamal Karte Ho
Trishul
Lyrics
Aaj hum ishq ka izhaar kare toh kya ho
Jaan pehchaan se inkaar kare toh kya ho
Bhari mehfil mein tumhe pyar kare toh kya ho
Koshishein aapki bekaar kare toh kya ho
Kehte darti ho, dil mein marti ho
Janeman tum kamal karti ho
Janeman tum kamal karti ho
Arre kehte darti ho, dil mein marti ho
Janeman tum kamal karti ho
O janeman tum kamal karti ho
Aankhon aankhon mein muskurati ho
Baaton baaton mein dil lubhati ho
Narm saason ki garm leharon se
Dil ke taaron ko gudgudati ho
Arre in sab baaton ka matlab pooche toh
Rang chehre ka laal karti ho
O janeman tum kamal karti ho
Chup bhi rahiye yeh kya qayamat hai
Aapki bhi ajeeb aadat hai
Itna hungama kis liye aakhir
Pyar hai ya koi museebat hai
Jab bhi milte ho jaane tum kya kya
Ulte seedhe sawaal karte ho
Janeman tum kamal karte ho
Mastiyan si faza pe chaayi hai
Vaadiyan rang mein nahaai hai
Narm sabz pedh, shokh phoolon ne
Makhmali chaadarein bichayi hai
Aah chhodo sharmana aise mausam mein
Tabiyat kyun nihaal karti ho
O janeman tum kamal karti ho
Jab bhi milte ho jaane tum kya kya
Ulte seedhe sawaal karte ho
Janeman tum kamal karte ho
Aye janeman tum kamal karti ho
O janeman tum kamal karte ho
Maine kaha, janeman tum kamal karti ho
Janeman tum kamal karte ho
Watch Video