Lyric4U
Jab Raat Hai Aisi Matwali

Mughal-E-Azam

Watch Video
Lyrics
Yeh dil ki lagi kam kya hogi
Yeh ishq bhala kam kya hoga
Jab raat hai aisi matwali
Jab raat hai aisi matwali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Naghmon se barsati hai masti
Chhalke hai khushi ke paimaane
Chhalke hai khushi ke paimaane
Aaj aisi bahaarein aayi hai
Kal jinke banege afsane
Kal jinke banege afsane
Ab isse zyada aur haseen
Yeh pyar ka mausam kya hoga
Ab isse zyada aur haseen
Yeh pyar ka mausam kya hoga
Jab raat hai aisi matwali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Yeh aaj ka rang aur yeh mehfil
Dil bhi hai yahan, dildaar bhi hai
Dil bhi hai yahan, dildaar bhi hai
Aankhon mein qayamat ke jalwe
Seene mein tadapta pyar bhi hai
Seene mein tadapta pyar bhi hai
Is rang mein koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Is rang mein koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Jab raat hai aisi matwali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Haalat hai ajab deewano ki
Ab khair nahi parwano ki
Ab khair nahi parwano ki
Anjaam-e-mohabbat kya kahiye
Laye badhane lagi armaano ki
Laye badhane lagi armaano ki
Aise mein joh payal toot gayi
Phir ae mere humdum kya hoga
Aise mein joh payal toot gayi
Phir ae mere humdum kya hoga
Jab raat hai aisi matwali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga
Watch Video